Namskar doston, kaise hai aap sabhi? Umeed hai ache honge. Doston pehle to main ye bata du ki main site ka kaafi bada fan hu. Kyunki yaha milti hai best kamuk stories. Doston jaisa ki aapne kayi kahaniyon mein padha hoga, ki pariwar mein kisi ke liye sex feeling ho, to unko patane rijhane ke liye aisa kiya waisa kiya.
Par is kahani mein aisa nahi hai. Ye ek anchaahi ghatna hai, jo meri ek friend ne mujhe batayi, aur unki permission se hi main ise social media par post kar raha hu. Ab aage ki kahani unhi ki zubani-
Namaste doston. Mera naam Chandini Abhiksha Bajaj hai. Waise to main Kanpur UP ki rehne wali hu. Par aaj-kal Noida mein rehti hu. Doston ye kahani hai meri aur mere pados mein rehne waale Nirmal chacha ji ki, jo ki hamare pariwar ke ek member jaise hi hai.
To doston is sacchi kahani se pehle main zara apna introduction dedu. Jaisa main batayi, main Kanpur UP se hu, to ye ghatna bhi wahi ki hai.
Meri umar abhi 28 saal hai. Figure size ki baat karu to 32-28-34 hai. Dekhne mein gori, khoobsurat, aur ek samanya kad-kaathi wali aurat hu. Lambayi 5’4″ hai, wazan abhi filhaal 56 kg hai. Main zyadatar Indian dresses pehanti hu suit, saree, lehanga etc. Ab bahut hui meri baat, karte hai kahani ki shuruaat.
To doston ye ghatna aaj se 9 month purani hai. Mere pados mein ek family rehti thi.
Unki family aur hamari family mein ghar pariwar jaisa hi rishta tha, jaisa amuman har padosi ke beech hota hai. Mere pariwar mein main, mere pati, 1 devar, 2 nanad, sasu maa, aur sasur ji hai.
Unki family mein Nirmal, poora naam Nirmal Sinha hai, aur unki patni, beti, aur beta rehte the. Nirmal chacha ji ki patni ki death guzre saal 2020 mein COVID ke chalte hui. Aunty ko high sugar and blood pressure ki bimari thi. Usme unko COVID ho gaya, aur wo chal basi.
Is ghatna ne chacha ji ko kaafi tod diya tha. Unki beti ki to shaadi pehle hi Manali mein ho gayi thi, aur beta bhi job ke chalte USA mein rehta tha. Aunty ki death ke time dono beta-beti aaye, kuch din chacha ji ke paas rahe bhi, par ab saari zindagi to koi kisi ko nahi sambhaal paata.
To aisa hi chacha ji ke sath bhi hua. Unki beti apne sasural chali gayi, aur beta wapas USA. Halaki jaate hue usne chacha ji ko sath le jaane ki baat kahi, par chacha ji aunty ki yaadon wala wo ghar chhodhne ko taiyaar nahi ho paye. Isliye ab us poore ghar mein wo akele reh gaye the. Halaki ek watchman tha, but pariwar to pariwar hi hota hai na.
To ab jab Chacha ji akele ho gaye, to unki dekh bhaal ka saara zimma mere upar aa gaya. Mere saas-sasur, pati, sab yahi chaahte the ki jab tak chacha ji is sadme se sambhal kar baahar na aa jaye, tab tak main unka poora dhyan rakhu. Unki medicines khaana-peena sab ka.
Mujhe bhi isme koi problem nahi thi, kyunki main unko papa jaisa hi maanti thi, aur wo bhi mujhe bitiya hi bulate bhi the, maante bhi the! Us time meri age 27 thi, aur charcha ji ki age 64. To waise bhi hum baap-beti jaise hi hue.
Unki age ke hisaab se thodi bahut medical problems to unko bhi thi. Jaise unke pairon mein dard rehna, unka bp issue, aur kamzori. To un sab ki medicine chal rahi thi. Unka dawayi, khaana-peena sab main hi karti thi. Roz dono time unko dawa aur khaana dene unke ghar jati hi thi. Isliye hamare beech jo rishta tha, wo aur mazboot ho gaya. Emotional attachment hota hi aisa hai.
Khair ab chachi ji ki death ki 2 months se zyada ho gaye the. Par na chacha ji ki udasi kam ho rahi thi, na unka akelapan aur tanhayi. To main unka mann behlane ke liye jab ghar jati, to unse baatein bhi karti. Unka sar daba deti, pair daba deti. Ek beti hone ka har farz nibhane ki poori koshish karti, taaki wo khush rahe.
Din aise hi guzarte rahe par chacha ji ki udasi nahi kam hui. Aise hi ek din ki baat hai, jab main chacha ji ko dawa dene gayi. Maine dekha aaj chacha ji kaafi zyada udas the, roz se bhi kaafi zyada. To main unko dawa khaana khila kar unke paas baithi aur poochh-
Main: Chacha ji, kya baat hai? Aaj aap roz se bhi zyada udaas aur tanha lag rahe hai. Kya baat hai bataiye?
Wo kuch nahi bole. Main firse poochi to wo aunty ki photo ko god mein lete hue bole-
Chacha ji: Bitiya aaj meri aur tumhari aunty ki marriage anniversary hai. Har saal hum sath manate the, aur is baar…
Itna keh kar wo ruase ho gaye, aur unki aankhen chalak aayi. Wo aunty ki photo ko apne seene se laga kar rone lage, jo mere se nahi dekha gaya. Zahir hai, kisi bhi beti se nahi dekha jayega, To main unko chup karane lagi, aur unke aansu ponchte hue boli-
Main: Chacha ji, main aapka dard samajhti hu. But ab kya kiya jaye? Bhagwan ki marzi hai sab.
Lekin wo firse rone lage to main unko sambhalne ke liye aur chup karane ke liye apne gale se laga li. Mere gale lagte hi wo bilak-bilak kar rone lage, aur kehne lage-
Chacha ji: Chandini bitiya, I miss her, I love her. Main kaise jiyunga tumhari chachi ki bina? Wo meri duniya thi. Ab main kya karunga uske bina?
Aur itna keh kar wo rone lage. Main unke gaalon par hath rakhte hue boli-
Main: Chacha ji, jo gaya wo wapas nahi aane wala. Par jeena to padta hai chacha ji, jeena to padta hai.
Aur itna keh kar main firse unko gale se laga li, aur main bhi emotional ho gayi. Meri aankhon se bhi aansu behne lage.
To wo pooche: Bitiya tum kyun ro rahi ho?
Main boli: Kyunki chacha ji aap ro rahe hai, aur aap aaj bhi chachi se itna pyar karte ho. Ye jaan kar aansu aa gaye.
Iske aage kya hua, ye aapko agle part mein pata chalega.
Agla bhaag padhe:- Anchaahi mohobbat mein bada sukoon-2