Pichla bhaag padhe:- Meri zubani Rohan ki kahani-1
Hello doston, main Karan aa gaya fir se Rohan ki kahani ko aage badhane. To aapko maine bataya tha Rohan aur Aman ke rishte baare mein, jo ki dosti se badh kar tha. Lekin Aman bin bataye hi Delhi shift ho gaya tha family ke sath. Isiliye Rohan MBA ke liye Delhi chala gaya.
To chaliye ab uske baad kya hua batata hu Rohan ke andaaz se-
Rohan: Ab main university jata tha, aur khaali time mein Delhi ghoomta tha ki, shayad Aman ka kuch pata chale. Lekin Aman ka kuch pata nahi chal paa raha tha. Isliye main udaas rehne lagta tha.
Ab ek saal ho gaya tha, lekin meri haalat waisi hi thi. Fir kuch din baad mere bagal waale flat mein ek ladki rehne aayi, jiska naam Payal tha. Same floor pe hone ki wajah se hamara aapas mein saamna ho jata tha. Ab hum dheere-dheere baat karne lage, to pata chala ki Payal ne architecture mein join kiya tha.
Ek din main chhat par baitha tha to Payal aayi aur mere paas mein hi baith gayi. Fir hum thodi idhar-udhar ki baatein kar rahe the, to Payal ko ek call aaya. To wo waha se chali gayi, aur kareeb aadhe ghante ke baad mere paas aayi.
Me: Boyfriend?
Payal: No.
Me: Fir kiska call tha?
Payal: Main kyun bataungi?
Me: I am sorry, bas aise hi pooch liya.
Fir Payal hasne lagi, aur boli ki uske hone waale pati ki call thi.
Me: Itni umar mein shaadi kyun karna chaahti ho?
Payal: Actually abhi nahi karungi, padhayi ke baad karungi. Hamara bachpan mein hi tay ho gaya tha shaadi ka.
Me: Achi baat hai.
Payal: Aapki koi girlfriend nahi hai kya?
Me: Nahi hai.
Payal: Kyun nahi hai?
Me: Mujhe jo pasand hai wo nahi mil raha hai.
Fir main direct waha se chala aaya, aur Payal waise hi baithi rahi. Mujhe acha nahi laga, lekin main usse sach nahi bol sakta tha.
Ab Payal mere room pe, aur main Payal ke room jata tha. Fir hum close friends ban gaye. Jab Payal ko uske mangetar ka call aata tha, tab wo balcony pe jaa kar baat karti thi.
Main Payal ko dekh kar bahut khush tha. Ek baar Payal kitchen pe chai bana rahi thi ki tabhi uske mangetar ka call aaya. Maine utha ke hello bola, to tab waha se jo awaaz aayi wo jaani-pehchani lagi. Magar tabhi Payal aa gayi, aur phone le gayi.
Mujhe kuch ajeeb laga, magar maine zyada dhyan nahi diya. Fir kuch din baad main apne room mein baith kar padhayi kar raha tha, ki tabhi mere darwaze pe kisi ne bell maari.
Tab us waqt main sirf ek shorts mein hi tha. Jab maine darwaza khola tab dekha ki ek ladka thoda sawla colour ka, muscular body wala ek t-shirt aur tight jeans mein tha.
Maine jab gaur se dekha to main samajh gaya ki wo ladka aur koi nahi balki Aman tha.
Me: Aman!
Aman: Rohan!
Me: Yes.
Hum dono sirf ek-doosre ko dus minute tak dekh hi rahe. Mujhe to apni aankhon par vishwas hi nahi hua us waqt. Fir peeche se Payal aayi, aur Aman ko peeche se hi hug karne lagi.
Tab hamne hosh sambhala aur maine dekha Payal Aman ko hug karte hue. Lekin wo kyun hug kar rahi thi, mujhe maloom nahi tha.
Payal: Rohan, inse milo, ye Aman ji hai.
Me: Aman ji.
Payal: Haa, ye mere mangetar hai.
Mujhe us waqt aisa laga ki ye kya ho raha tha. Mujhe us waqt kuch samajh hi nahi aa raha tha. Payal Aman ko apne room mein le jaa rahi thi, aur main apne darwaze pe dekhta raha. Us raat main so nahi paa raha tha. Mujhe ghutan mehsoos ho rahi thi, isliye main direct chhat par gaya. Tabhi kuch der baad Payal aur Aman aane lage. Main to poora hil gaya.
Payal: Tum is waqt kya kar rahe ho?
Me: Wo ahhh main bas aise hi aaya tha.
Payal: Acha Aman ji se main tumhe pehchan karwati hu.
Me: Main jaanta hu ise.
Payal: Kya! Lekin usne to tumhare baare mein mujhe kuch nahi bola hai.
Main poora shock ho gaya ki Aman ne mere baare mein kuch kyun nahi bataya.
Payal: Aman idhar aao.
Aman: Haa.
Payal: Tumne Rohan ke baare mein kyun nahi bataya mujhe, ki tum dono aapas mein jaante ho?
Aman: Wo baat aahhh mmm.
Me: Payal, hum bachpan mein dost the. Lekin ab kuch saal ho gaye hai main mila nahi tha. Isi
liye shayad usne tumhe batana zaroori nahi samjha.
Payal: Oh acha.
Me: Theek hai, main chalta hu.
Ye bol ke main chala aaya, aur room mein bas sochta raha ki Aman ne aisa kyun kiya mere sath. Uske agle din jab main lift mein jaa raha tha, to tab Aman bhi aa gaya lift mein. Hum dono chup hi rahe pehle. Fir maine bol-
Me: Tum Delhi aa gaye, lekin mujhe bataya bhi nahi us waqt.
Aman: Papa ko Delhi mein acha offer mila tha. Isliye jaldi-jaldi mein aa gaye.
Me: Tumhe pata hai, main Delhi sirf tumhe dhoondhne ke liye hi aaya tha.
Aman: Kyun? Mujhe dhoondhne ki kya zaroorat hai?
Me: Tumhe aakhri baar nahi dekha tha na, isliye. Tum mujhe miss nahi kiye na?
Aman: Main kyun miss karunga?
Mujhe bahut gussa aaya, lekin maine apne aapko sambhala.
Me: Haa miss kyun karoge mujhe. Waise Payal se tumhari shaadi tay ho gayi na?
Aman: Haa tum khush ho na?
Me: Haa, tumhari khushi mein hi meri khushi hai, waise congratulations.
Aman: Thanks.
Lift khul gayi, aur main bina kuch bole hi baahar chala aaya. Mujhe apne aap pe bahut gussa aa raha tha, ki maine us ladke ke liye itna time barbaad kiya, jisko main yaad bhi nahi tha.
Maine fainsla kar liya, ki ab main use yaad nahi karunga, aur usko apne dil se nikaal doonga. Isliye maine ab Payal se bhi milna band kar diya, kyunki Aman uske sath tha. Kuch din baad Aman chala gaya, aur main Aman se mila bhi nahi.
Jab Aman gaya, uske agli shaam ko hi Payal ka ek accident ho gaya. To jab mujhe pata chala to main seedha usko milne hospital chala gaya. Tabhi pata chala ki Payal ke pair ka fracture hua tha, aur use bed rest ki zaroorat thi.
Isliye maine Payal ka khayaal rakha, aur agle din jab main Payal ke liye medicine laane ke liye gaya, tab Aman aa gaya hospital mein.
Ab aage ki kahani agle part mein. Aapko kaisi lagi kahani [email protected] par apne comment bheje.
Agla bhaag padhe:- Meri zubani Rohan ki kahani-3