Wo 21 din-4

Pichla bhaag padhe:- Wo 21 din-3

Abbu: Bahu tumhari baaton se bahut udaasi jhalak rahi hai. Lekin main kuch kahu to bura to nahi maanogi?

Me: Abbu aapki kisi bhi baat ka main kabhi bura maan hi nahi sakti.

Abbu: Bahu jab aurat saj-dhaj ke rehti hai, to ghar mein barkat rehti hai. Main to bas tumse itna hi kahunga ki hamesha khush raha karo.

Itna keh kar mere sasur jaane lage.

To maine unse kaha: Abbu main aapki baat par amal karne ki koshish karungi.

Aur wo apne kamre mein chale gaye.

Ye lockdown ka time tha. Poori duniya apne-apne gharo mein simat kar reh gayi thi. Mere ghar mein kisi cheez ki koi kami nahi thi. Do din baad raat ko khaane ke waqt maine sasur se kaha ki-

Me: Abbu sabzi khatam ho gayi hai.

To Sasur ne kaha: Subah ke waqt bazaar kuch der ke liye khulte hai. Kal subah sabzi le aaunga.

Roz ki tarah raat mein mere shauhar aur saas ne phone kiya, aur khairiyat maloom ki. Saas aur shauhar mujhe baar-baar abbu ka khayaal rakhne ka bol rahe the. Maine unhe yakeen dilaya ki main abbu ka ache se khayaal rakh rahi thi.

Doosre din subha 5 baje meri aankh khul gayi, aur main namaaz padh kar kamre se baahar nikli. To mere sasur hall mein sofe par baithe the. Wo namaaz padh ke kuch zikar mein the. Main unhe salam kiya aur kaha ki-

Me: Abbu main aapke liye nashta bana deti hu.

To sasur ne kaha: Rehne do bahu. Main pehle sabzi le aata hu.

Fir maine unse kaha: Abbu kya main aapke sath sabzi laane chalu?

To Sasur ne kaha: Zaroor chalo bahu. Waise bhi ghar mein bahut bore ho gayi hogi tum.

Me: Ji abbu.

Maine burqa pehna, aur sasur ke sath ghar se nikalne lagi. To sasur ne poocha-

Abbu: Bahu activa par chalogi ya bullet par?

Aapko bata du ki mere sasur zara healthy hai, aur unke paas pehle hi se bullet bhi hai, aur wo jab bhi baahar se India aate hai, to bullet hi chalate hai.

Maine kaha: Jo aapko theek lage.

Waise main aaj tak bullet par nahi baithi.

Meri baat sun kar sasur ne kaha: Theek hai bahu, aaj bullet par hi chalte hai.

Maine kaha: Ji abbu.

Main sasur ke sath bullet par baith gayi, aur bullet ki seat par hi hath rakh kar main baith gayi. Hum raaste se guzarne lage. Maine dekha ki subah 7 baje ka waqt tha. Magar road par traffic bahut thi.

Lockdown mein subah ke waqt kuch relief hone ki wajah se log ghar ke samaan ki khareedari karne ke liye nikal pade the. Main road par dekh rahi thi, aur mere sasur bhi idhar-udhar nazar rakh kar bullet chala rahe the. Hum road par se jaa rahe the ki achanak mere sasur ne break lagayi, aur main sasur ki peeth ko touch hote hue neeche gir gayi.

Mere sasur ne bike sambhali, aur bullet ke saamne aane waale ladkon ko bhala bura kehte hue mujhe uthaane ke liye aage badhe. Lekin tab tak main khud hi khadi ho gayi thi. Bullet ki speed zyada nahi thi, isliye mujhe kuch bhi nahi hua.

Achanak bullet ke saamne aane waale ladke jo kam age ke the, aur shayad lockdown ka mahaul dekhne nikal gaye the. Un ladkon ne hame sorry kaha, aur maafi maangne lage. Mere sasur ne unhe pyar se samjhaya aur bullet ko start kiya, aur mujhse poocha-

Abbu: Bahu tum theek to ho na?

Maine kaha: Ji abbu, main theek hu.

Sasur ne kaha: Bahu araam se baitho.

Ji abbu keh kar main bullet par baithne lagi, aur sasur se kaha-

Me: Abbu main aapke kandhe par hath rakh lu?

Sasur ne kaha: Haa bahu, bilkul rakh lo.

Maine sasur ke kandhe par hath rakha, aur hum jaane lage. Market mein bahut bheed thi. Khair hamne sabzi aur doosri cheezein khareedi, aur ghar ke liye nikalne lage.

Samaan kuch zyada tha, tab sasur ne ek sabzi ki chhoti bori petrol tank par rakh li. Fir hum nikal pade. Raaste mein petrol tank par rakhi bori idhar-udhar ho rahi thi, to maine poocha-

Me: Abbu aapko problem ho rahi hai kya chalane mein?

To unhone kaha: Bahu ye bori fisal rahi hai.

Fir maine kaha: Dijiye main ise pakad leti hu.

Fir maine peeche baithe hue hi sasur ki kamar mein hath daal kar aage bori ko pakad liya, aur wo bullet chalane lage. Bori ko peeche se hath daal kar pakadne ke liye mujhe sasur ji se chipakna pada, aur mera seena sasur ji ko touch kar raha tha.

Khair maine is par zyada dhyan nahi diya, aur hum ghar aa gaye. Hamne raat ko dinner kiya, aur kitchen mein kaam khatam karke jab main hall mein aayi, to sasur ji ne kaha-

Abbu: Bahu kyun na chhat par thodi chehal-kadmi (walk) ki jaye?

Maine kaha: Haa abbu, chaliye.

Fir hum chhat par gaye, aur sath-sath walk karne lage. Chalte-chalte sasur ji ne poocha-

Abbu: Bahu kya hua? Aise langda kar kyun chal rahi ho?

Maine kaha: Abbu subha jab main giri thi, tab se zara sa dard ho raha hai.

Shayad pair mein moch aa gayi hai.

Sasur ji ne kaha: Bahu tumne mujhe ye pehle kyun nahi bataya?  Doctor ko dikha dete the.

Maine kaha: Nahi abbu, utna zyada bhi nahi hai. Thodi si oil massage karungi to theek ho jayega.

Fir hum kuch der walk karne ke baad neeche aa gaye.

Tab sasur ji ne kaha: Bahu agar tumhe aitraaz na ho to main oil laga du?

Maine kaha: Arre nahi abbu, main kar loongi.

To unhone kaha: Theek hai.

Us raat bhi roz ki tarah khairiyat maloom karne ke liye mere shauhar ka phone bhi aaya. Baat karne ke baad hum apne-apne rooms mein sone chale gaye. Doosre din main jab subah uthi, to mere pair mein dard zyada hone laga, aur mujhe chalne mein takleef ho rahi thi.

Nashta karte waqt sasur ji ne poocha: Bahu kya hua, pair ki moch kam hui?

To maine kaha: Nahi abbu, raat ko balm lagaya tha. Lekin fir bhi pair mein kuch zyada hi dard ho raha hai.

Iske aage ki kahani, agle part mein.

Agla bhaag padhe:- Wo 21 din-5