Wo 21 din-5

Pichla bhaag padhe:- Wo 21 din-4

Meri baat sun kar sasur ji ne phone uthaya aur kuch phone calls kiye. Fir unhone kaha-

Abbu: Koi bhi clinic open nahi hai.

Me: Theek hai abbu, rehne dijiye.

Abbu: Bahu aap kamre mein chalo. Main jaitun ka oil garam karke laata hu. Main khud tumhare pair ki malish kar doonga.

Me: Arre abbu aap kyun takleef karte hai?

Abbu: Koi takleef nahi hogi bahu mujhe. Ek beti ki takleef baap nahi dekh sakta! Tum chalo room mein, main oil le kar aata hu.

Main fir deewar ka sahara lekar apne room mein chali gayi. Fir thodi der baad sasur ji oil le kar aa gaye. Main bed par baithi thi, aur sasur ji bed ke neeche zameen par baith gaye.

Fir unhone kaha: Lao bahu, apna pair aage karo.

Maine apna pair aage kiya, aur sasur ji ne halka garam kiya hua oil pair par lagaya. Mere muh se aaahh nikli to wo bole-

Abbu: Bahu garam oil lagane se hi dard kam hoga.

Wo halke-halke se mere pair ki massage karte rahe, aur mujhe apne abbu ki yaad aa gayi. Massage karte-karte sasur ji ne kaha-

Abbu:  Bahu, tum pehli baar mere sath baahar gayi, aur ye ho gaya,

Me: Nahi abbu, aisi baat nahi hai. Magar aapke sath jaa kar mujhe acha laga. Thoda mind fresh ho gaya.

Abbu: Bahu tumhari koi dost ya behan hai to unse aap baat kar liya karo. Hassi-mazaak karne se bhi dil dimag ko sukoon milta hai. Tumhara mind aur bhi fresh ho jayega.

Maine kaha: Nahi abbu, main zyada kisi se dosti nahi karti. Kyunki sab apne-apne ghar ki ho gayi hai.

Khair aisi hi baatein hoti rahi, aur meri massage karne ke baad wo chale gaye. Fir mujhe neend aa gayi. Jab aankh khuli to dekha ki shaam ke 5 baj rahe the. Main bed se neeche utri, pair mein halka sa dard abhi bhi tha. Magar pehle jitna dard nahi tha.

Main fir hall mein gayi. Dekha to sasur ji sofe par baith kar tv dekh rahe the. Main kitchen mein gayi, chai banayi, aur do cup lekar hall mein aa gayi.

Sasur ji pooche: Bahu dard kaisa hai?

Maine kaha: Ab pehle se kuch kam hai.

Wo bole: Raat mein fir ek baar massage kar lo, kam ho jayega.

Me: Ji abbu.

Hum dono tv par lockdown ki update news dekhte rahe. Baad mein sasur ji apne room mein chale gaye. Raat ko maine khud oil garam kiya, aur apne pair par laga kar malish karne lagi.

Tabhi whatsapp par messages aane lage. Main uthi, oil lage hatho ko wash karne ke baad Whatsapp message check kiya. Mere sasur ne mujhe kuch comedy aur funny videos send kiye the. Main un videos ko dekh kar hansne lagi, jo bahut funny thi. Fir sasur ji ka message aaya-

Abbu: Hi.

Me: Hello.

Abbu: Kaise lage videos?

Me: Very funny.

Abbu: Acha laga tumhe?

Me: Ji.

Abbu: Kya aap hamare sath chatting kar sakti hai kuch der ke liye?

Unka message padh kar mujhe bhi zara si masti soojhi, aur maine kaha-

Me: Kyun aapke sath chatting kyun karu?

Abbu: Ji hame pata chala hai ki aap bahut akeli hai. Isliye aapka dost banna chaahta hu.

Me: Haa to?

Abbu: To main bhi bahut akela hu.

Mujhe bhi shararat soojhi, aur maine likha-

Me: To main kya karu?

Abbu:  Bas kuch der chatting kar lijiye.

Maine kaha: Mujhe aapse chatting nahi karni. Bye.

Ye keh kar main offline ho gayi. Mujhe sasur ji ke baare mein soch kar hassi aa gayi. Doosre din subah nashte par hum normal rahe, aur roz ki tarah hi baatein hui. Raat ko jab sasur ji sone chale gaye, to maine apne room mein jaa kar whatsapp check kiya. Magar sasur ji ka koi message nahi tha. Maine kaafi intezaar kiya, aur sasur ji ke message ka intezaar karte-karte so gayi.

Hum din mein jaise hamesha rehte the aise hi rahe. Koi whatsapp ki baat nahi hui. Do din aur aise hi guzar gaye, magar raat ko sasur ji ka whatsapp par koi message nahi aaya. Tab teesre din maine hi message kiya.

Me: Hi.

Reply nahi aaya. Maine firse thodi der baad hello ka message kiya. Tab bhi koi reply nahi aaya. Kuch der baad maine message kiya-

Me: Naraaz ho?

Abbu: Haa.

Me: Kyun?

Abbu: Aapko shayad tanhayi pasand hai.

Me: Aur aapko?

Abbu: Khushiyan baantna.

Me: Hamare sath bhi khushi baantiye.

Abbu: Kyun aap khush nahi ho?

Me: Nahi.

Abbu: Kya kami hai?

Me: Sacche dost ki.

Abbu: Koi mila?

Me: Haa, par shayad wo naraaz hai.

Abbu: Kyun?

Me: Hamne zara sa mazaak kiya to wo dost naraaz ho gaya.

Abbu: To mana lo.

Me: Wahi to kar rahi hu.

Abbu: Aapka bahut-bahut shukriya.

Me: Shukriya kis baat ka?

Abbu:  Kam se kam aapne hame dost to samjha.

Me: Par hum shayad aap ki dosti ke qabil nahi.

Abbu: Aap aisa sochte hai? Magar…

Me: Magar kya?

Abbu: Magar hamare liye aapki dosti khuda ka ek tohfa hai.

Me: To aapko hamari dosti ka tohfa qubool hai?

Abbu:  Ji, dil o jaan se.

Me: Aapka bahut-bahut shukriya.

Abbu: Dosti mein no thanks, no sorry. Maine pyar kiya film mein salman khan ne yehi kaha hai.

Me: Ji hum is baat ko yaad rakhenge.

Abbu: Ji shukriya.

Me: Fir shukriya!

Abbu: Oh sorry.

Me: Firse sorry!

Abbu: Ok baba, gaalti ho gayi.

Me: That’s a good boy.

Abbu: Mujhe abhi neend aa rahi hai. Kal baat karenge.

Me: Bye.

Abbu: Bye.

Uske baad main offline ho gayi, aur chatting ko baar-baar padhne lagi. Mere dil mein ek anjani khushi ne janam liya tha. Main baar-baar chatting ko padh rahi thi, aur mujhe acha lag raha tha. Shaadi se pehle bhi main mobile use karti thi, aur mere rishton ki behno se kabhi-kabhi chatting bhi karti thi.

Maine socha tha ki shaadi ke baad jitna mere dil mein pyar hai, sab kuch apne shauhar par nyochavar kar doongi. Magar mere shauhar Adnan se mujhe mayusi hui, kyunki na to wo romantic the, aur na hi mujhe unhone ladki se aurat banaya tha.

Lekin maine kabhi kisi se is baat ki shikayat nahi ki thi. Magar ab jab maine kuch der ke liye pehli baar kisi se chatting mein pyar bhari baatein ki, to mere soye hue jazbaat jaag gaye. Aur mujhe khushi ka ehsaas hone laga.

Iske aage kya hua, wo aapko

agle part mein pata chalega. Kahani achi lag rahi ho, to comment mein zaroor bataye.

Agla bhaag padhe:- Wo 21 din-6

Leave a Comment