Pichla bhaag padhe:- Dost bana beta-10
Pehle pichle parts padh le, tabhi maza ayega. Ab aage-
Rohan: Mom aapke sir pe ye red kya laga hai?
Nisha: Kaha beta?
Rohan: Aapki maang mein.
Nisha (Nisha ne use touch kiya): Ye to blood hai. Ye kaise laga yaha pe?
Rohan: Lagta hai jab Aarav ne aapko help karne ke liye pakda hoga, tabhi lag gaya hoga.
Me: Haa lagta hai jab aunty giri thi, tabhi maine unhe uthaya tha. Us time lag gaya hoga.
Rohan: Mom aap ise saaf kar lo.
Nisha: Haa abhi aati hu saaf karke (tabhi door pe knock hua).
Door pe room service wala tha. Wo hame dinner buffet mein invite karne aaya tha.
Nisha ne kaha hum thodi der mein aate hai.
Fir hum teeno ready hue. Maine sab ko kaha aaj jo bhi hua uski baat koi nahi karega. Fir hum dinner ke liye gaye. Waha pehle se kaafi log the. Hamne apni plate li, dinner liya, aur waha baith ke dinner karne lage. Fir aapne room mein aa gaye aur sone chale gaye.
Rohan: Bhai aaj jo bhi (main uski baat ko rokte hue).
Me: Yaar uske baare mein kuch baat mat kar.
Rohan: Theek hai, par thanks aaj toone mom aur mujhe bacha liya.
Me: Isme thanks kya? Tum dono meri family jaise ho.
Rohan: Acha toone mom ke liye kuch socha?
Me: Abhi tak to nahi. But aunty ko sach mein ek partner ki zaroorat hai, jo unko har museebat se protect kare.
Rohan: Bol to tu sahi raha hai.
Tabhi Nisha aa gayi.
Nisha: Ye kya baat kar rahe ho tum dono. Thoda soch samajh ke bolo (Rohan poora darr gaya tha)
Me: Aapne sab sun liya kya?
Nisha: Haa, pehle bhi tumhari baat suni thi. Us time main shant thi, but ab nahi.
Me: To aapne pehle kyun nahi kuch bola? Main jaanta hu ki aap life mein akeli ho (Nisha ko aankh maar di).
Nisha (Aankhon se mujhe roka): Main 40+ ki hu. Itna bada beta hai. Tum bol rahe ho kuch soch ke bolo.
Rohan: Mom Aarav sahi bol raha hai. Waise bhi aaj jo hua waisa kabhi dobara hua, to aapko bhi haq hai dobara apni life start karne ka.
Me: Haa aunty, Rohan sahi bol raha hai. Hum dono ne dekha hai aap kaise kabhi-kabhi khud ko akela mehsoos karti ho.
Nisha: But is age mein mujhse kon shaadi karega? Wo bhi jiska ek itna bada beta ho. Waise bhi aaj jo bhi hua wo theek nahi hua.
Me: Jaanta hu aaj jo bhi hua ye galat tha, but kya kar sakte hai?
Nisha: Main tumhare hath se lage khoon ki baat kar rahi hu.
Rohan: Kya matlab mom?
Nisha: Beta yahi ki Aarav ke hath se laal rang meri maang bhar gayi.
Rohan: To kya hua mom? Ye sab anjane mein hua.
Nisha: Magar main shaadi-shuda nahi hu. Aise Aarav ne meri maang bhar ke shaadi ka ek important riwaaz kar diya.
Me: Par ye to galti se hua. Maine jaan ke thodi kiya.
Nisha: Jaanti hu, but tumne jo bhi kiya ise adhoori shaadi kaha jata hai.
Me: Aunty ye sab bakwas hai. Fir bhi aap bolo to Delhi jaake hum pandit se mil lenge.
Rohan: Ye sahi hai.
Fir hum sab so gaye next day uthe, breakfast kiya, aur ready hoke ghoomne chale gaye waha se. Shaam ko aaye to apne room mein change karke hotel mein enjoy karne lage. Fir waha hame ek couple mila, jinse thodi baat-cheet ki. Unhone Nisha se poocha ki aapki abhi tak shaadi kyun nahi hui.
Maine kaha: Hum dono ki kuch dino mein shaadi hogi. Ye Rohan hai, inka chhota bhai.
Fir hum waha se aa gaye apne room mein.
Nisha (gusse ka naatak karte hue): Tumne waha kya bola?
Me: Sorry, but mere paas aur koi option nahi tha. Waise bhi aap sab ko is tarah se apni story bataye, ye sahi nahi.
Rohan: Haa mom, Aarav sahi bol raha hai.
Fir hamne dinner kiya. Uske baad so gaye. Next day uthe. Fir ready hoke, breakfast karke, airport aa gaye. Waha se hamari flight thi Delhi ki. Yaha aake next day hum ek pandit se milne gaye. Wo pandit Nisha ke pehchan ke the. Hamne unhe bataya ki mere hath mein cut laga tha. Fir mere hath ka khoon Nisha ke sar pe lag gaya tha. Unhone kaha ki agar aisa hua hai to meri aur Nisha ki aadhi shaadi ho gayi thi.
Maine kaha: Ye to galti se hua.
To unhone kaha: Kaise bhi hua. Agar tumhara inse koi khoon ka rishta nahi, to ye ek adhoori shaadi maani jayegi. Jab tak tum dono poore reeti-riwaz se shaadi nahi karte, tum dono ka bhagya tumhare sath nahi rahega. Agar tumne kisi aur se shaadi ki, to tumhara wo vivahik jeewan bahut hi jaldi khatam ho jayega.
Fir Nisha ne unse poocha: Iska koi upaye?
To unhone kaha: Tum dono ko poore reeti-riwaz se shaadi karni hogi.
Fir hum ghar aa gaye. Maine Rohan aur Nisha se saaf bol diya ki ye nahi ho sakta. But Nisha ne kaha ki aur koi option nahi thi. Rohan bhi soch mein tha ki kya kiya jaye. Hum apne room mein aa gaye the. Mujhe Amit uncle ka phone aaya ki unhe kuch papers pe mere signature chahiye the, jiske liye wo 1 ghante mein yaha aa rahe the.
Maine Nisha ko ye bata diya, aur unka wait karne laga. Main soch raha tha ki ye baat Amit uncle ko bata du. But mere mind mein ye tha ki wo kaisa react karenge. Kyunki Amit uncle purane reeti-riwaz ko maante the, but ye baat alag thi. Fir wo aaye, aur maine paper pe sign kiya.
Uske bad unhe wo bataya jo hum teeno ke sath vacation mein hua tha. Pehle to unhone aise react kiya jaise maine bahut bada paap kiya ho. Fir mujhe daanta. Main sab kuch sun raha tha. Maine unse maafi bhi maangi. Fir unhone kaafi der sochne ke baad kaha, ki ab meri aur Nisha ki aadhi shaadi ho gayi thi, to hum poori shaadi kar le sab reeti-riwaz se.
Maine mana kar diya ki ye sab galti se hua tha. To unhone hamare Pandit ji ko phone kiya, aur unhe saari baat batayi. Unhone bhi wahi kaha jo pehle waale pandit ne kaha tha. To uncle ne kaha ki jaisa pandit ji ne kaha tha waisa hi karna hoga.
Nisha jaldi se maan gayi. Usne kaha ki purane riwaz ko maanna hoga. But main naatak kar raha tha. Rohan ne bhi mujhe kaha ki mujhe shaadi kar leni chahiye. Nisha ne kaha ki main thoda time leke sochu. Amit uncle ne kaha mujhe ki main kal tak unhe soch ke bata du. Maine kaha ok.
Fir Amit uncle chale gaye. Main bhi aapne room mein aa gaya. Tabhi Rohan bhi mere room mein aaya aur Nisha bhi.
Nisha ne kaha mujhe: Agar kisi ko iska pata chala to koi mujhse dobara shaadi nahi karega. Tum hi mera sahara ho.
Rohan ne bhi bola: Dekh bhai, tujhe mom se shaadi karni hogi.
Maine kaha: Main kaise kar sakta hu? Hamara age gap, upar se ye teri mom hai. Agar baad mein kisi ko pata chala to meri shaadi kaise hogi?
Rohan mujhse request karne laga. Maine kaha mujhe sochne ka time do. Main Nisha se shaadi karna chaahta tha, but main ye bhi chaahta tha ki shaadi Rohan ki marzi se ho. Isliye main ye naatak kar raha tha. Nisha ko iska pata chal gaya tha, aur usne kuch kaha nahi.
Next day maine Rohan aur Amit uncle ko apna jawab de diya. Dono khush the. Amit uncle ne kaha ki wo pandit ji se acha sa mahurat nikaal ke mujhe batayenge.
So friends aaj ke liye itna hi. Umeed karta hu aapko maza aa raha hoga. Next part mein pata chalega kaise meri aur Nisha ki shaadi hui, aur fir hamne kaise ek-doosre ko pyar kiya. Tab tak ke liye good bye friends.
Agla bhaag padhe:- Dost bana beta-12