Meri beti Komal-1

Doston mera naam Hemant Sharma hai. Meri umar 43 saal hai, aur main shaadi-shuda aur bachho wala aadmi hu. Meri ek kirana ki dukan hai, aur main saara din wahi rehta hu. Grahak kaafi aate hai meri dukan par to kamayi achi hai.

Mere parivar mein main, meri biwi, mera beta Sunny (19 saal), aur meri beti Komal (21 saal) hai. Mera beta college ke 1st year mein padhta hai. Wo padhayi mein kuch khaas acha nahi hai. Lekin pass hone jitna padh leta hai.

Komal padhayi mein Sunny se kahi aage thi. Isliye school ke baad usko seedha doosre shehar mein padhne bhej diya maine. Main chaahta tha ki wo ache se padhayi karke kuch ban kar dikhaye. Shayad yahi meri galti thi. Ye kahani tab shuru hui, jab Komal 3 saal padhayi ke baad ghar wapas aayi.

Aaj wo din tha jab Komal wapas aane wali thi. In 3 saalon mein wo ek baar bhi ghar nahi aayi thi. Apni maa se to uski baat hoti rehti thi. Lekin main kaam ki wajah se zyada se zyada maheene mein ek baar usse baat kar paata tha. Usko maine 3 saal se nahi dekha tha.

Fir main aur Sunny station par Komal ko lene gaye. Komal ko jab maine dekha, to Komal jawan ho chuki thi. Uske baare mein kuch bata deta hu. Komal ka rang gora, height 5’6″, aur figure 34-29-36 tha. Seedhe-seedhe kahu to wo ek bahut khoobsurat ladki thi. Kisi bhi ladke ka dil us par aa jaye.

Station par usko dekhte hi maine socha ki uski shaadi kisi bade ghar mein karunga, jisse uski life sawar jayegi. Fir wo mujhse aur apne bhai se gale mili. Komal ne ek loose t-shirt aur blue jeans pehni thi. Main dekh raha tha ki wo pehle se modern ho chuki thi. Jab bachhe bade shehar jaake padhayi karke aate hai, to unka lifestyle badla hua hota hai.

Fir hum gaadi mein baithe aur ghar chal pade. Darwaze par uski maa aarti leke khadi thi. Komal ko dekhte hi uski maa ki aankhon mein aansu aa gaye. Usne apni maa se kaha-

Komal: Mummy ab to main aa gayi hu, ab kyun ro rahi hu? Jaate time to bahut khush thi mujhe yaha se bhaga kar (mazaak mein bola usne).

Meri biwi: Chal badmash, mazaak karti hai mere se.

Fir meri biwi ne Komal ki aarti utari, aur Komal ne apni maa ke pair chhue. Main bahut khush tha ki meri beti, mere ghar ki raunak ghar wapas aa gayi thi. Fir hum sab ne sath baith kar khaana khaaya, aur bahut si baatein ki. Abhi shaam hui thi, to main dukan wapas aa gaya.

Dukan par aate hi maine apni family ke pandit ji ko phone kiya, aur unko Komal ke liye koi acha sa, high class family wala ladka dhoondhne ke liye kaha. Sath hi maine unko Komal ki photo bhej di. Fir raat ho gayi, aur main dukan band karke ghar chala gaya.

Raat ka dinner bhi hum sab ne sath mein kiya, aur khoob hassi-mazaak hua. Sab log bahut khush the. Fir sab log apne-apne kamre mein chale gaye.

Kuch din aise hi chalta raha. Lekin jaldi hi sab kuch badalne wala tha. Ek din aadhi raat ke waqt meri neend achanak se khul gayi. Maine ek bura sapna dekha tha, to meri saanse tez chal rahi thi. Fir main utha, aur paani peene ke liye kitchen mein gaya.

Jab main paani peene wapas aa raha tha, to maine dekha Komal ke room ki light on thi. Maine socha wo light band karna bhool gayi hogi, to main light off karne ke liye uske room ki taraf chal pada. Jab main uske room ke paas pahuncha, to andar se kuch awaaze aa rahi thi.

Komal kisi se baat kar rahi thi. Maine dhyan se suna to wo Sunny se baat kar rahi thi. Main sochne laga ki aadhi raat ko ye bhai-behan aapas mein kya baat kar rahe the. To main wahi khada hone unki baatein sunne laga.

Komal: Bhai main tumhe kaisi lagti hu?

Sunny: Didi, aap bahut achi lagti ho mujhe.

Komal: Ek behan ki tarah nahi, ek ladki ki tarah kaisi lagti hu?

Sunny: Didi aap bahut beautiful ho. Koi bhi ladka aap se shaadi karne ke liye taiyaar ho jayega.

Komal: Arre kon kambakht shaadi karna chaahta hai. Pehle life to enjoy kar le, fir shaadi ka bhi soch lenge.

Sunny: Kya karna chaahti ho didi aap?

Komal: Pehle tu bata teri koi girlfriend hai.

Sunny sharma gaya.

Komal: Arre sharma kyun raha hai? Ab tu bachha nahi hai, college mein ho chuka hai. Tere jitne ladke 2-2 girlfriend ek sath ghumate firte hai. Tu bata teri koi hai ki nahi.

Sunny: Nahi didi, abhi to nahi hai.

Komal: Kyun, koi pasand nahi aayi?

Sunny: Didi pasand to hai. Lekin usko bolne mein darr lagta hai. Pata nahi wo kya sochegi.

Komal: Isme sochna kya hai. Har ladki chaahti hai ki ladka usko propose kare. Tu hi buddhu hai. Tujhe pata bhi hai ladki ke sath kya karte hai?

Sunny firse muskurane laga.

Komal: Tu firse hasne lag gaya.

Sunny: Didi aap batao aapka koi boyfriend hai?

Komal: Mere to kayi saare hai. 3 saalon mein mere kitne boyfriends bane hai, ab to ginti bhi nahi hai.

Main apni beti ki ye baat sun kar hairan sa ho gaya. Maine socha ye to padhne gayi thi, aur isne itne saare boyfriends kab bana liye.

Sunny: Lekin didi aap to pehle ladkon se door rehti thi. Ye achanak se itne boyfriends kaise ban gaye aapke?

Komal: University mein jaate hi ladke aapke peeche pad jaate hai. Wo aapke andar aag laga dete hai, jisko thanda karne ke liye aapko boyfriend banana padta hai.

Sunny: Wo kaise?

Komal: Chal main tujhe batati hu, ki maine pehli baar boyfriend kyun aur kaise banaya.

Ye bol kar Komal ne apne first year ki kahani shuru ki. Sunny bhi dhyan se uski kahani sunne laga.

Iske aage kya hua, wo aapko kahani ke agle part mein pata chalega. Agar aapko kahani ka maza aaya ho, to isko share zaroor kare.

Agla bhaag padhe:- Meri beti Komal-2