Wo 21 din-2

Pichla bhaag padhe:- Wo 21 din-1

Subah aankh khuli to maine dekha mere shauhar bed par nahi the. Time dekha to 10 baj chuke the. Tabhi mere shauhar bathroom se nilke, aur mujhe dekh kar halki si smile di.

Unki smile dekh kar main raat ki baat bhool gayi. Fir main bhi muskura kar bathroom mein chali gayi.

Main naha kar nikli tab mere shauhar aayine ke saamne apne baal bana rahe the. Main unke kareeb gayi, aur bade hi adab se unhe salam kiya. Unhone mujhe apne seene se laga liya, aur kaha-

Adnan: Nashta karne liye ammi bula rahi hai.

Maine kaha: Aap chaliye, main aati hu.

Main room se baahar nikli, aur saas ko salam kiya. Meri saas ne mere maathe par pyar kiya, aur dua dene lagi. Fir hum teeno ne nashta kiya. Dopahar mein meri kuch kareebi rishtedaar auratein mujhe lene aayi, aur main ammi ke ghar chali gayi.

Ammi ne mujhe room mein le jaa kar poocha: Beti sab theek hua na?

Tab maine sirf haa mein jawaab dete hue sar ko jhuka liya. Mera jawaab sun kar ammi ne kaha-

Ammi: Alhamdulillah beti, bas yahi dua hai ki tu khush rahe. Tere abba ke guzarne ke baad main bas teri khushi ke liye hi zinda hu. Tu khush hai, tera ghar bas gaya, mujhe aur kuch nahi chahiye.

Ammi fir mujhe naseehat karne lagi: Beti bas ek baat yaad rakhna. Apne shauhar  ko tu khuda ka darja de hamesha. Uska kaha maan. Uski khushi, uski razamandi, yahi tere liye behtar hai. Ab tera sab kuch usi shauhar ke ghar mein hai.

Ammi ki naseehat sun kar mera dil bhar aaya.

Maine kaha: Ammi aap fikar mat kijiye. Kabhi aapko mere susral se shikayat ka mauka nahi milega.

Meri ammi ne mujhe lipta liya aur mere haq mein dua ki. Shaam mein sasural mein dinner ka function tha, aur function ke baad raat mein bed par aisa hi kuch hua, jis tarah suhagraat mein hua tha. Usse zyada aur kuch nahi hua.

Ab ye roz ka mamool ban gaya tha. Par maine kabhi apne shauhar se koi shikayat nahi ki, aur na hi apni saas ko ye baat batayi ke unke bete mein koi kamzori thi.

Kuch din aise hi chalta raha, aur ek din mere shauhar ne bataya ki unhe wapas saudi arab jana hoga. Kyunki unka visa renewal karna tha. Mere shauhar ne ek baat aur batayi-

Adnan: Ammi ne mannat maangi thi ki jab unke bete ki shaadi hogi, tab wo umrah (islam ki ek ibadat) ke liye zaroor jayengi. To ammi ko main sath lekar jaunga.

Meri saas ne kaha: Bahu agar tum chaaho to apni maa ke paas jaake reh sakti ho.

Tab maine kaha: Ammi ab mera mayika aur susral sab yahi hai. Main apna ghar chodh kar kahi nahi jaungi.

Ye sun kar meri saas ne mujhe gale se laga liya. Sab kuch ready ho gaya aur meri saas aur shauhar ko 10 march ko saudi arab ke liye nikalna tha. Aur poori taiyaari ho chuki thi.

Unke jaane se do din pehle 8 march ko subah ke waqt meri saas mera aur mere shauhar Adnan ka naam lekar room ka door khatkhata rahi thi. Main aur Adnan jaldi se uthe, aur door khola. To saas ne bataya-

Saas: Bahu pata hai kon aaye hai?

Maine kaha: Kon?

To saas ne kaha: Tere sasur, Adnan ke abbu aa gaye baahar se.

Adnan: Kya baat hai!

Wo room ke baahar nikal gaye, aur maine saas se kaha: Ammi main taiyaar ho kar aati hu.

Meri saas ne kaha: Theek hai beti.

Ye keh kar wo chali gayi.

Main taiyaar ho kar room ke baahar nikli, aur hall mein aayi. Dekha to sab wahi baithe the. Maine sar par saree ka pallu odha aur bade adab se jhuk kar sasur ko salam kiya. Mere sasur ne mujhe apne paas sofe par hi bitha liya, aur mujhe dekh kar saas se kehne lage-

Sasur: Nahida begum, bahu to chand ka tukda le aayi ho.

Ye sun kar meri saas ne kaha: Bahu sirf chand ka tukda hi nahi, ghar grehasti sambhaalne wali samajhdaar ladki hai.

Mere sasur ne mere shauhar  ki taraf dekh kar kaha: Beta bahut naseeb wala hai tu, jo itni khoobsurat aur khoobseerat biwi mili hai tujhe.

Ye baat sun kar mere shauhar  Adnan zara muskara diye. Fir sab ne mil kar khaana khaaya. Uske baad jab sab baith kar baatein karne lage, to meri saas ne poocha-

Saas: Aap achanak kaise aa gaye? Koi phone bhi nahi kiya.

To sasur ne kaha: Begum bata ke to hamesha aata hu. Is baar surprise diya tum sab ko.

Mere sasur ne bataya ki unke visa ko renew karwana tha, to unhone visa renewal nahi karwaya. Kyunki unki aankhon mein kuch zyada hi takleef ho rahi thi, aur waha wo ilaaj karwana nahi chaahte the. Isliye unhone apna visa renewal nahi karwaya.

Adnan ne kaha: Abbu aapko bataya tha na mujhe wapas jana hai, aur ammi ka bhi umrah ka visa ticket sab ready hai. Aap waha hote to aap, main, ammi teeno bahut ghoomte.

Ye baat sun kar sasur ne kaha: Beta dil bahut bhar gaya hai baahar reh kar. Aur waise bhi agar ho sake to tum, bahu, main, aur tumhari ammi ghoomne jayenge kahi baahar hi. Filhaal apne ammi ki mannat poori kar do.

Adnan ne kaha: Ji abbu, aur waise ab ammi ke aane tak aapki bahu aapka khayaal rakh legi.

Ye keh kar Adnan ne meri taraf dekha.

To maine kaha: Apne walid ka beti se zyada koi khayaal nahi rakh sakta.

Ye sun kar mere sasur ne kaha: Jiyo meri beti.

Aur meri saas mujhe firse dua dene lagi. Aise hi baatein karte hue raat ho gayi. Maine kitchen mein kaam khatam kiya, aur apne room mein chali gayi. To Adnan bed par baithe the. Maine poocha-

Me: Adnan kya hua, kya soch rahe ho?

Wo bed se uthe. Unhone mera hath pakda, aur mujhe bed par bitha kar khud neeche baith gaye.

Me: Kya hua aapko?

Adnan: Naziya tum bahut achi ho. Main jaanta hu maine tumhe wo poora sukh nahi diya, jo ek aurat chaahti hai.

Me: Adnan aap aisa mat kaho please.

Adnan: Nahi Naziya, aaj mujhe bolne do. Maine tumse ek baat chhupayi hai. Mere andar sex ki kamzori hai. Main 5 saal se baahar hu, aur maine apne aap ko khud hi kamzor kiya hai. Temporary enjoy karke main tumhare qabil nahi raha. Magar ab main baahar

hi apna ilaaj karwaunga, aur tumhe har tarah ki khushi doonga.

Iske aage kya hua, aapko agle part mein pata chalega.

Agla bhaag padhe:- Wo 21 din-3