Nafrat jab badli pyar mein-3

Pichla bhaag padhe:- Nafrat jab badli pyar mein-2

Sid ki wajah se Riyansh ko ek hafte ke liye suspend kar diya gaya tha. Isliye Riyansh ek hafte ke liye club mein kaam karne ke liye jaa raha tha. Sid ne club mein jab Riyansh ko dekha, tab Riyansh ne use paison ke liye kaam kar raha hu bola. Uske baad se Sid ne kuch ajeeb sa mehsoos kiya. Uske agle din bhi uska dhyan kaam par nahi lag raha tha. Ab aage-

Shaam ko Sid jaldi office se nikal gaya, aur ready ho kar jaldi hi club pahunch gaya. Jab wo club pahuncha tab Riyansh already waha pe drink serve kar raha tha. Ab Sid thodi door baith kar sirf Riyansh ko dekh raha tha. Lekin Riyansh ki nazar Sid pe nahi thi.

Sid ne dekha ki us waqt do aadmi aaye aur Riyansh ko drink banane ke liye bole. Jab Riyansh drink bana kar diya tab wo aadmi Riyansh ka hath pakad kar uske sath badtameezi karne lage. Magar Riyansh ne apne aap ko unki badtameezi se bachaya. Fir un do logon ne use bahut buri tarah gaali di. Magar Riyansh kuch bol nahi paa raha tha.

Sid samajh raha tha Riyansh ki majboori ki wajah se wo kuch nahi bol paa raha tha. Us waqt Sid ko bahut bura lag raha tha, ki uski wajah se hi Riyansh ka ye haal tha. Jab club band hone ko aaya, tab Sid baahar jaa kar apni car mein baitha raha.

Fir Jab Riyansh club se baahar aaya aur apne dost ki bike se apne ghar jaa raha tha, tab Sid uska peecha karne laga. Jab Riyansh ghar pahuncha to Sid ne dekha ki uska ghar medium size ka tha. Sid us ghar ki khidki ke paas jab gaya to usne suna ki uski maa Riyansh ko bahut gaaliyan de rahi thi, aur Riyansh ka rona bhi suna.

Ab Sid apne flat pe aa gaya, aur khud ko is problem ki wajah samajhne laga. Sid apne aap ko doshi maan kar udaas raha. Uski agli shaam ko Sid club pahunch gaya aur seedha Riyansh ke paas chala gaya. Usne Riyansh ko bulaya-

Riyansh: Ji sir, boliye kya banau?

Sid: I am sorry Riyansh. Meri wajah se tumhe aaj itni pareshani ho rahi hai.

Riyansh (baat ko nazarandaz karke): Kya banau sir?

Sid: Acha to tum meri baat nahi sunoge? Theek hai.

Ye bol kar Sid waha pe baitha raha aur apna drink peeta raha. Aaj bhi wo do aadmi firse aaye club mein, aur Riyansh ko drink banane ke liye bolne lage. Fir uske sath badtameezi karne lage. Lekin aaj Sid waha pe baitha tha, aur wo us aadmi ko gaali dene laga. Tab manager aaya to Sid ne un do aadmiyon ki complaint ki.

Wo do aadmi chale gaye. Sid waha pe hi baitha raha, magar Riyansh kuch bhi nahi bol raha tha. Jab club khatam hua to Sid baahar hi khada tha. Ab Riyansh uske paas gaya.

Riyansh: Thanks sir, aapne meri madad ki.

Sid: Tum mere employee ho. Koi agar tumhare sath badtameezi karega, to chhodhunga nahi.

Riyansh: Theek hai sir, main chalta hu.

Sid: Tum mujhe us din ke liye maaf kar do na.

Riyansh: Aapko maafi maangne ki zaroorat nahi hai sir. Main kisi se bhi gussa nahi rehta hu. Meri life hi aisi hai.

Jab Riyansh jaane laga tab Sid ne use peeche se bula kar bola-

Sid: Suno Riyansh, main tumhe ghar chhodh deta hu. Chalega na?

Riyansh: Nahi sir, main apne dost ke sath chala jaunga.

Sid: Agar tum nahi aaoge, to tumne maaf nahi kiya aisa samjhunga main.

Riyansh: Aapko meri wajah se pareshani hogi.

Sid: Tum chalo, main theek hu.

Riyansh: Theek hai.

Riyansh ne uske dost ko bhej diya aur khud gaadi mein baith gaya. Ab dono jaane lage. Raaste Sid ne bola-

Sid: Meri wajah se tumhe kitni problem ho rahi hai na?

Riyansh: Mujhe aadat hai sir ye sab ki.

Sid: Tum bahut ache ho ki tumne mujhe maaf kar diya.

Riyansh: Main sab ke sath aisa hi hu.

Sid: Magar main bahut bura hu.

Riyansh: Aap chaahe to ache ban sakte hai.

Sid: Tum meri life nahi jiye ho na, isliye bol rahe ho.

Riyansh: Kya life hai aapki, batao to?

Sid: Yaar bachpan se hi main maa-baap ka jhagde dekh raha hu. Mere parents mujhpe dhyan dene ke jagah apni life pe dhyan diye. Ab wo dono alag rehte hai  isliye main bhi ab alag hi rehta hu, aur main ye samajhta hu ki logon ko sirf apna hi dekhna chahiye. Isliye main aisa ho gaya patthar dil.

Riyansh: Mere ghar mein to sirf meri sexuality ke baare mein jaante hai. Fir bhi mere maa baap hi mujhe gaaliyan dete hai. Main kitna bhi karu, unke liye kam hai.

Sid: To tum alag kyun nahi rehte?

Riyansh: Main alag rahunga to kisse? Ghar mein maa baap gaali karte hai. Baahar office mein sab mera mazaak banate hai. Aap to mere sath zabardasti bhi kiye the.

Sid: I am sorry Riyansh.

Riyansh: Main jitna bhagunga utna hi fasunga. Isliye main alag nahi balki sab ke sath reh kar khud ko strong banata hu. Lekin sir dard mujhe bhi bahut hota hai.

Sid: Tumhare aage to meri problem bhi kuch nahi hai yaar.

Riyansh: Aap bhi agar sab ke sath mil kar rahenge to aapko bhi sab pasand karenge.

Itne mein Riyansh ka ghar aa gaya. Jab Riyansh seat belt nikaalne ki koshish kar raha tha, tab Sid uski madad karne ke liye uske paas aaya. Tab dono hi bahut close ho gaye, aur Sid Riyansh ke lips par apne lips rakh ke kiss karne laga.

Aise hi 2 minute kiss ke baad Riyansh thoda door ho gaya, aur bina kuch bole hi ghar chala gaya. Sid ke muh par ek halki si smile thi. Wo samajh nahi paa raha tha ki ye kya hua tha. Magar wo bahut khush tha.

Ab aise hi baaki ke chaar din chale gaye. Magar in chaar dino mein Sid roz jata tha club mein, aur sirf Riyansh ko hi dekhta tha. Riyansh bhi ab Sid ke sath achi tarah pesh aata tha. Iski wajah se office mein bhi Sid khush rehne laga.

Jab ek hafte ke baad Riyansh office aaya to usne Rohit ko sab kuch bataya to Rohit chaunk gaya. Ab sab acha jaa raha tha ki ek din firse office mein presentation ki meeting hui. Us din ke liye Riyansh ne apni poori mehnat ki thi.

Meeting mein jab Riyansh apni presentation screen pe lagaya, tab project ke badle uske club mein drink serve karne ka photo saamne aaya. Tab use firse gaaliyan padi. Ab Riyansh ko office se nikaal dene ka fainsla hua. Riyansh jitna bhi roya, gidgidaya uska koi bhi faida nahi hua.

Riyansh direct Sid ke cabin mein gaya, aur use bola-

Kya bola wo jaanenge aap agle part mein. Agar kahani achi lagi to apne comments meri id [email protected] par bheje. Dhanyawad.

Agla bhaag padhe:- Nafrat jab badli pyar mein-4