Raghuvir aur Raaj ki anokhi kahani-5

Pichla bhaag padhe:- Raghuvir aur Raaj ki anokhi kahani-4

Hello doston, main Karan fir aa gaya kahani ko aage badhane. Pichli kahani mein aapne jaana ki Raghuvir aur Raaj alag university mein padhne lage. Jab Raghuvir chutti pe aaya tab Raaj se ache se baat nahi kiya. Fir Raaj rone laga. Ab aage-

Raaj ( rote hue): Tum bahut badal gaye ho.

Raghuvir: Arre tum ro kyun rahe ho?

Raaj: Tum jab se gaye ho, uske baad ek call bhi nahi kiye. Ab aaye ho lekin usme bhi tum mere se aisi baat kar rahe ho.

Raghuvir: Tumne hi to mujhe Neesha ko pyar karne ko bola tha.

Raaj: Haa magar hamari dosti ke beech to kuch nahi bola tha. Ab tum dost ki tarah kyun nahi rehte?

Raghuvir: Jab tak yaha tha, tab tak dost ki tarah hi to reh raha tha. Ab busy rehta hu, isiliye nahi ho paa rahi hai baat tumse.

Raaj: Tum jaan-boojh kar ye sab kar rahe ho, taaki main guilty feel karu.

Raghuvir: Tum jo bhi kiye hamare bhale ke liye hi kiye. To main kyun karunga?

Raaj ( hug karte hue): Please tum mere se dosti mat todna

Raghuvir: Theek hai baba, chalo ab sone chalte hai.

Ab dono bed pe so gaye. Lekin ek bed par so kar bhi bahut door the. Aadhi raat ko Raaj ko kuch awaaz aayi, to uski aankhen khul gayi. Usne dekha ki Raghuvir ro Raha tha balcony ke paas. Fir Raaj uske paas gaya, aur ek hug kiya. Tab Raghuvir ne bhi usko kass ke pakad liya, aur rone laga.

Raghuvir: Raaj, nahi ho paa raha hai aur.

Raaj: Kya nahi ho paa raha hai Vir?

Raghuvir: Tumhare sath aise nahi reh paa raha hu.

Raaj: Matlab?

Raghuvir ( rote hue): Tumhe bhool nahi paa raha hu.

Raaj: Vir, tum bhoolne ke liye hi to Delhi gaye the.

Raghuvir: Lekin waha bhi tum bahut yaad aate ho mujhe.

Raghuvir: I’m sorry, main kuch zyada bol diya.

Ab Raaj sirf uski baat sunta raha, magar kuch nahi bola. Sirf bed par lita ke use hug karke so gaya. Jab subah hui, to Raaj Raghuvir ko hi dekh raha tha. Raghuvir utha aur usko bola-

Raghuvir: Kitne mahimeeno ke baad aaj mujhe itni achi neend aayi Raaj.

Raaj: Tum jab tak yaha ho, hum sath mil kar hi soyenge.

Ab jab tak Raghuvir tha, tab tak wo sath mein hi rahe. Jab wo Delhi wapas jaa raha tha, tab usne bola ki-

Raghuvir: Raaj, ab main tumse dosti mein koi kami nahi karunga.

Ye bol kar wo chala gaya. Ab un dono ki do-teen din mein call pe baat hoti rehti thi. Aise hi un dono ki University bhi khatam ho gayi. Ab Raghuvir aur Raaj ke sath-sath sabhi doston ki achi salary mein job lag gayi.

Raghuvir aur Raaj ko apni hi city mein job mil gayi. Isliye Raghuvir ab apne ghar firse aa gaya. Neesha, Neha bhi usi city mein job karne lag gayi, magar baaki sab doston ko Mumbai mein job mili. Isliye wo sab Mumbai chale gaye.

Raghuvir aur Raaj pehle jaise the ab waise hi rehne lage. Din bhar apni job pe, aur raat ko sath mil kar samay bitate the. Jab wo dono Neesha aur Neha ke sath bhi hote, tab bhi wo ek-doosre ko hi dekhte rehte the. Raghuvir aur Raaj bhool gaye the ki unki girlfriends bhi thi.

Ab Raghuvir ke ghar mein shaadi ko lekar baat chidhi. Neesha ke baare mein sab ko pata tha, isliye Raghuvir ki mummy Neesha ke ghar mein baat karne lagi. Raghuvir ki tension badhne lagi. Ab Raghuvir ki mummy ne Raaj ko bol Diya ki-

Aunty: Raaj beta ab tum hi Vir ko samjhao shaadi ke liye.

Raaj: Aapke samjhane se samjhega wo.

Aunty: Nahi tumhari baat wo maanega. Please beta, ye kar do.

Ab Raaj bhi haa bol diya. Wo ek shaam ko Raghuvir ko terrace pe bula kar bola-

Raaj: Tumne shaadi ke baare mein kya socha?

Raghuvir: Tum ye baat mujhe pooch rahe ho.

Raaj: Haa tumhe pooch raha hu.

Raghuvir: Main Neesha se shaadi nahi karunga.

Raaj: To Neesha ka kya hoga?

Raghuvir: Uska kuch nahi hoga.

Raaj: Tum aisa kyun kar rahe ho?

Raghuvir: Agar main karunga to tum bhi Neha se karoge na?

Raaj: Abhi meri shaadi ki baat nahi chal rahi hai.

Raghuvir: Agar tum sab jaan kar aisa kar rahe ho, to tumhe bhi shaadi karni hogi.

Fir wo chala gaya. Ab Raaj ne Neesha se baat karne ka soch kar agle din Neesha ko hotel mein bulaya aur bola-

Raaj: Neesha, tumse Vir ke baare mein baat karni thi.

Neesha: Haa bolo.

Raaj: Wo baat aisi hai ki Vir abhi shaadi nahi karna chaahta hai.

Neesha: Abhi, yaa kabhi bhi nahi chahta hai?

Raaj ( chaunkte hue): Kya!

Neesha: Main jaanti hu ki Raghuvir mujhe kabhi bhi pyar nahi kar paaya hai.

Raaj: To fir wo kisse karta hai?

Neesha: Tumse.

Raaj: Ye tum kaise bol rahi ho?

Neesha: Mere sath wo aaj tak sex nahi kiya hai. Jab poocho tab wo shaadi ke baad bol kar taal deta hai.

Raaj: Main bhi to Neha se shaadi ke baad hi karunga sex, to isme tum andaza kaise laga sakti ho?

Neesha: Ek baar maine Vir ki drink mein nashe ki goli mila di thi. Tab uske sath maine intimate hone ki koshish ki. Magar wo nashe mein mujhe tum, yani Raaj samajh kar bolne laga ki Raaj mujhe chhodh ke mat jao. Main nahi reh sakta tumhare bina.

Neesha: Isliye main jaanta hu ki wo tumse pyar karta hai.

Raaj ( darte hue): Ye baat Vir ko pata hai kya?

Neesha: Nahi.

Raaj: Please kisi ko bhi nahi batana.

Neesha: Agar wo mujhse shaadi karega to nahi bolungi.

Raaj: Tum sab kuch jaanne ke baad bhi kaise shaadi kar sakti ho?

Neesha: Mujhe Vir chahiye matlab chaiye. Agar nahi mila to sach sab ko bol doongi.

Ab Raaj nirash ho kar ghar aaya, aur Raghuvir se baat karne laga.

Raaj: Vir tum shaadi ke liye haa bol do.

Raghuvir: Ok, to tum Neha ke liye haa bolo.

Raaj: Haa main taiyaar hu.

Raghuvir ( chaunkte hue): Sach mein?

Raaj: Haa.

Raghuvir: Lekin main nahi karunga shaadi.

Raaj: Tumhe karni padegi, tum agar mujhe thoda bhi pyar karte ho to uska vaasta.

Raghuvir: Tum aisa nahi kar sakte ho.

Raaj: Please yaar meri khaatir.

Raghuvir: Theek hai to ek hi din shaadi karenge.

Ye bol kar wo chala gaya, aur Raaj ke ghar mein jaa kar Raaj ki shaadi ke baare mein bata diya. Uske ghar mein sab khush ho gaye. Doosre din Neha ke gharwalo se baat hui, to unhone bhi haa kar di. Shaadi ek maheena baad ki fix hui.

Aage ki kahani agle part mein. Agar kahani achi lagi to meri mail id [email protected] par apne comments bheje.

Agla bhaag padhe:- Raghuvir aur Raaj ki anokhi kahani-6

Leave a Comment